Saturday, September 11, 2010

Yahi ek mantar

Sapne shat-shat in nainan mein,
Har manzil ki aur badhte hai.
Kathin tapasya kathin parishram
bin bole hi karte hai.
Safal jeevan ki talash,
kyun dar dar dar dar bhatakte hai.

Rupya-paisa daulat dhan,
Ghanghor sataye iski maya.
Dukh hi dukh pata jayega,
pade kali iski chaaya.
Aur aur ki chaah me,
Sachai ko naa seh paaya

Charm kes naadi ya rakth
kshann me nasht ho jata hai
Samay sada se adig rahe
har pal hume sikhata hai
jhaak zara apne andar to,
kyun khud ko jaan nahi pata hai?

Keh gaye woh dhyaani gyaani,
Sukh dukh ki ek bhook bhayankar...
Sada sataye tujhe ai prani
svaymev ko tu jaan nirantar
Parmatam ka yahi ek mantar,
yahi ek mantar...yahi ek mantar...

1 comments:

chauhanmahesh said...

Thats so gr8.........urvish baba :).. Nicely written