Thursday, September 10, 2009

Deewane ho gaye....

kisi ke pyaar me deewane ho gaye ,
pyaar to na mila par is chakkar me shayar ho gaye
aaj un lamho ko dekh has deta hoon,
woh bhi kya waqt tha, us waqt ko gujre jamane ho gaye

Ab to zindagi se poochta hoon kya aisa koi phir aayega,
zindagi bhi muskura ke kehti hai, sabra karo koi behtar mil jayega
us behtar ke intazar me phir deewane ho gaye,
anjane chehre ko dhundte dhundte hum apno se begane ho gaye

Koi kareeb hote hue bhi door ho chala jata hai,
is ishq vishq ke chakkar me bhavar me phasta chala jata hai,
aise bhavar se khud ko nikal liya hai,
dusro ko bhi bachate bachate hum sayane ho gaye

Zindagi se poocha bach bhi gaye aur sayane bhi hue
par woh chehra na mila woh aankhen na mili,
zindagi phir muskurayi, humhari bhi kismat hai aisi yaad dilayi
us kismat ke sahare hum dewaane mast mastane ho gaye

Par yeh safar sirf us chehre ke liye nahi,
yeh safar to un chehron ke liye hai, jo hume yaad karte hai,
un sabki yaad ki bhi ek ibadat hai, yeh samajh kar sambhal gaye,
aur unki yaad ke hum deewane ho gaye, hum deewane ho gaye