Aaj kisi ne phir unki yaad dilayi
Aur unki Yaad me humne phir kalam uthayi
Jakhmo ko khuret kar woh kahani
Humne apne aap se phir daurahi
Dard to hota hai magar kya kare
Jina pad raha unhi ke yaad ke sahare
Unhi ki aakhon ko dhund ti rehti hai nighaye
Un Nighaho ko ki talash me fir rahe hai mare mare
Hum jante to nahi yeh ishq ka ehsaas
Magar aapki muskurahat is dil ko hai khaas
Muskurate rehna sada jahan bhi tum jaoge
Par yeh yaad rakhna is dil ke kone me sada tum apne aap ko paoge
Har Saans se tumhare liye dua hi nilegi
Silsila in duaon ka aise hi chalega
Tum itne ho khaas ki tham jaye dhadkan bhi
Aur tham jaye saans bhi,
yeh ruh tumhari salamati chahegi
yeh ruh tumhari salamati chahegi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
Miya bade wale aashiq ban gaye ho...kya maajra hai...kaun hain ye dard-e-dil jinki yaad mein gamo ke dariya mein gote laga rahe ho....waise ek baat kahen..likhi badi behtareen hai per dil ke afsane lafso mein bayan nahi kiya karte aur karte hain to likh kar nahi...haale dil seedha zuban se bayan karte hain....himmat karo aur jake apni jashn-e-jahaan ko bol daalo...kadmo mein dil le aayengi wo mauhtarma...
very nice poem...keep it up..
Well I turned up to ur blog after a long time.But I must say u wrote some very good posts.And main thing is that u are pretty continous with the blog and not like me :( . Now I need to wake up...as I have a competition with u... :)...Neways Nice posts
Post a Comment