Friday, September 17, 2010

Bewafai ki hadd

Deewangi humari aisi thi ki har lamha har saans unki chahat me neelaam kar gaye,
Unki bewafai ki hadd to dekho unko pata nahi ki yaad me hum yahan hai ya khuda ko pyaare ho gaye

Saturday, September 11, 2010

Yahi ek mantar

Sapne shat-shat in nainan mein,
Har manzil ki aur badhte hai.
Kathin tapasya kathin parishram
bin bole hi karte hai.
Safal jeevan ki talash,
kyun dar dar dar dar bhatakte hai.

Rupya-paisa daulat dhan,
Ghanghor sataye iski maya.
Dukh hi dukh pata jayega,
pade kali iski chaaya.
Aur aur ki chaah me,
Sachai ko naa seh paaya

Charm kes naadi ya rakth
kshann me nasht ho jata hai
Samay sada se adig rahe
har pal hume sikhata hai
jhaak zara apne andar to,
kyun khud ko jaan nahi pata hai?

Keh gaye woh dhyaani gyaani,
Sukh dukh ki ek bhook bhayankar...
Sada sataye tujhe ai prani
svaymev ko tu jaan nirantar
Parmatam ka yahi ek mantar,
yahi ek mantar...yahi ek mantar...

Tuesday, September 7, 2010

Kuchhh….

Kuch shabd hote hai aise jo jubaan par bas jate hai,

Kuch chehre hote hai aise jo aankhon me bas jate hai,

Kuch pal hote hai aise jo zehen me utar jaate hai,

Kuch to sacchai hai dil me jo hum tumko yaad aajate hai