Monday, November 30, 2009

Kyun Khoon nahi khaulta





Har saal hazaron Maasum ho rahe hai kurbaan
Bebas ki jaati hai jaan, kis baat pe humhe hoti hai shaan?
Kyun aisi kurbaani par yeh desh hai chalta?
Kyun aasun nahi aate, kyun khoon nahi khaulta!

Zakham pe zakham diye jaa rahe woh,
Bhare huye zakhmon ko khuret te ja rahe hai woh,
Bar bar is desh ko kyun balidaan hai dena padta ....
Kyun kaleja nahi jalta, kyun khoon nahi khaulta!

Aadat hoti ja rahi hai is aasaan zindagi ki... Koi aur mar raha hai
Koi bhai kho raha hai, koi pati to koi beta kho raha hai.
Yeh ishara hai aane wala kal tumhara hai...jo kal kisi aur ka tha
kyun dard nahi hota, kyun khoon nahi khaulta!

Kyun bebas ho rahe hai, haath dhare baithe rehna pad raha hai
Kyun koi neta roj sare aam junta ko loot leta hai
Bina haath lagaye sab ka balaatkar hai kar deta...
kyun ehsaas nahi hota, kyun khoon nahi khaulta!

Sirf baaton me ulajhta jaata hoon, Shahidon ke liye diye jalata hoon
Kyun bahadur jawano ke parivar ko me laachar paata hoon
Sirf shabdon se khelta ja raha hoon, Nahi!! Der se hi sahi par aaj me jaaga hoon
Chalo sabko chupe sach ki aur le jata hoon, kisi ka to khoon khaulata hoon

kasam is dharti ki, Is soye huye Hindustan ko ab me uthaunga
Bhagat Singh, Bose se kamte-unikrishnan tak sabko, dilo me jagaunga
Is boojhti chingari ko... nayi kranti ki jwaala banaunga
Har aankh me aasu, dil me dard aur kaleje me agan jalaunga
Jitna ho sake is khoon ko khaulaunga is khoon ko khaulaunga

Is khoon ko khaulaunga....