Saturday, July 4, 2009

Yaad...

Aaj kisi ne phir unki yaad dilayi
Aur unki Yaad me humne phir kalam uthayi
Jakhmo ko khuret kar woh kahani
Humne apne aap se phir daurahi

Dard to hota hai magar kya kare
Jina pad raha unhi ke yaad ke sahare
Unhi ki aakhon ko dhund ti rehti hai nighaye
Un Nighaho ko ki talash me fir rahe hai mare mare

Hum jante to nahi yeh ishq ka ehsaas
Magar aapki muskurahat is dil ko hai khaas
Muskurate rehna sada jahan bhi tum jaoge
Par yeh yaad rakhna is dil ke kone me sada tum apne aap ko paoge

Har Saans se tumhare liye dua hi nilegi
Silsila in duaon ka aise hi chalega
Tum itne ho khaas ki tham jaye dhadkan bhi
Aur tham jaye saans bhi,
yeh ruh tumhari salamati chahegi
yeh ruh tumhari salamati chahegi